Thursday, July 13, 2006

Saanjh

Before I write the poem SAANJH I would like to write few other lines:

"Is chand se hai roshan ye raat
Phir kyon is chand may daag dhoondhte ho tum
Ke jo kehte hain wo to sunte ho nahi
Phir kyon chahte ho ke kuch kahain hum"


Saanjh


Is sandhya ki madakta may
Uljha sa kuch soch raha tha
Teri yaad thi mere sath
Par thujhko nahin mein khoj raha tha
Tere jaisa hi ek ehsaas tha
Mehsus jise kar doob raha tha

Ye saanjh bhi thuj jitni hi anjaani hai
Dheere dheere madhoosh karti
Ye saanjh tujhse jyada sayani hai
Ise darr nahi kho jaane ka
Ye tujh jaisi hi deewani hai

Ab to aankhain moonde baitha hoon
Ke ye saam kuch dikhati bhi nahi
AUr ek tu hai jo nazar aati bhi nahi
Ab to aankhain moonde baitha hoon

Ab jab raat hogi to neend se kahoonga
Tujh jaisi saanjh se mila tha
Saari raat yehi baat karoonga
Aaj ki raat to kabhi neend kahegi
Aur kabhi mein kahoonga
Aur jab aankh khulegi subeh subeh
Phir wahi.........

2 Comments:

At 10:21 AM, July 13, 2006 , Blogger johney said...

Beautiful. I can almost fell in love with the beautiful Sanjh!!

 
At 3:17 AM, January 20, 2007 , Blogger AJ ! Serendipity !!! said...

bahut khoob

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home