Thursday, November 10, 2005

Rahein hain, rahoon ko na dhoka dijiye

(p.s. This first came as a comment to one from LetMeSpeakMyMind)

Rahein hain, rahoon ko na dhoka dijiye,
Yeh rehti hain yahan, inhein na toka kijiye,
Doss inka nahi rahi hai bhatka hua,
Chahta hai manjil, rahon pe chalta hua,
Kabhi isse bhi to chahat ka mouka dijiye,
Toot kar bhi, phoot kar bhi joorti hain tumhain,
Inka bhi hai dard, kabhi dekha kijiye.

Rahein hain, rahoon ko na dhoka dijiye,


Tere path sang jur pari hain,
Tere mukh sang mur pari hain,
Raha roop rakh sarikha,
Par humne inse kuch na sikha,
Sangini si saath rahi,
Par manjil par jasn manate,
Hum khare hain haath hilate,
Joo chale the saath hamare
Unko hain maat dikhate
Ye unko bhi poojti hai,
Sang unke phir jujhti hain.
Yaar kaise hum khudgarj bane hain,
Kabhi inse bhi to waphai kijiye.

Rahein hain, rahoon ko na dhoka dijiye,

2 Comments:

At 11:52 PM, November 11, 2005 , Blogger Nitwit said...

Param prabhu hain aap,
Kavitaon main hamare Baap;

Isliye pranam kijiye swikaar,
Apni Kavitayon ka yunhi karte rahain ijhaar;

 
At 3:35 PM, March 06, 2007 , Anonymous Anonymous said...

Very nice site! »

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home