Ae Galti Tu Dohrae Jaa
Ae galti tu dohrae jaa
Aukat meri batae jaa.
Ruk-ruk bar bar sochta rahoon,
Dar ko mere hatae jaa
Ae galti tu dohrae jaa
Bar- bar hai aati yaad
Jeet nahi haar ke baad
Uonhi mujhe harae jaa
Ae galti tu dohrae jaa
Jab-jab tu aata hai
Dherya mera digata hai
Krodh aur bair bhar man mein mere
Kamjori meri batae jaa
Ae galti tu dohrae jaa
Dimaag kehta hai, Ae Man! Tum jaago
Iss galti se door bhago
Par ye doost hai mera
Uonhi saath mera nibhae jaa
Ae galti tu dohrae jaa
3 Comments:
Prabhu aap to guru ho.These are four line i wrote and dont know what they are and why they are:
Shunya aakash mein bharta nayi uddan,
punah chal pada mere vichaaron ka vimaan;
naa koi abhyas kiya na prapt kiya koi gyan,
bas dekh khula akash,chala rahi anjaan.
vicharon ki udan ho,ya soch ka gaman,
vichaar ke vikaas, vishleshan aur vinaash ka chalak mera man.
abhilasha, aasha aur nirasha sab vichaar ke hain vanshaj,
sadiyon se man ke sathi , par ab bhi utpadit karte achraj.
To the speakingmind on his comment:
Chalne ko hai aatur ye man,
Jalne ko hai tan, man, jeevan.
Vyakul vishamtaoon ko dekh hua,
Tum jaison ka saath, hai mera dhan.
Chala hai ek oor, kis oor kon jane
Lou chotti si, raah anjaane.
Aage kharain hain thokar undekhe
Charoon taraf hain log begane
Ghamand bara hai, mein uchoon hoon
Par jab bhi mein gira hoon
Haath sahare ka paaya hai
Tum khare the jaane pehchane.
all i can say after these 2 comments is bow to these 2 gr8 composers
n i of whom is one i knw a bit..tht is sanjay or speakingmind
keep the creativity flowin utilitarian
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home