KAGAZ
iss kagaz ki kahani hai itni
kora rehkar kaumarya ka aalingan
phir mere kalam ki dulhan hai banti
saaj-sajaa sab taak dhare hain
gehne mere sabdon se hai chunti
swet rahi jab gin-gin saansain
mook rahi jab bhin bhin baatain
chann-chann mujhe pukara karti
chun- chun tab bhar deta yaadain
sirf sabdon ka sringar nahi hai
kuch rekhain bhi khichi thein
yaad nahi kya kya likha tha
ye palkain kab kab bhigi thein
pata nahi kiss kiss ka chehra
in aankhon main tha mandraya
kuch achhe the, kuch sachhe the
kuch ko humne tha thukraya
pata nahi kya-kya likhta tha
pata nahi kya-kya banaya
pata nahi kab, kyon likhta tha
pata nahi kab, kyon banaya
kab se is kagaz ka kissa
kiss-kiss ko hai batlaya
kab se is kagaz ko le mein
kahan kahan na ho aaya
na jane kya-kya kehti hai
sath sath jab yeh rehti hai
jane kab-kab mere peeche
meri chugli karti hai
kya kahon, kya batoon
kya kya kasam ye deti hai
kya samjhon, kya samjhaoon
kya kya bharam ye deti hai
3 Comments:
kya baat hai par yahaan kagaz nahi notepad hai hehe
naksh fariyadi hai kiski shokhi-e-tehreer ka,
kagazi hai pairhan paikar-e-tasveer ka
---- Ghalib.
@manish chauhan = I didn't get it but its nice
@nitwit =
kagaz ne jamane ke tasvir ko badalna hai
notepad ki takdeer main recycle bin pada rehna hai
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home