A Love Letter
(This poem was first used by me in a letter writting contest of my institute(Love letter round).)
Galiyon se gujarte hue
Dekha hai tujhe jharonke se
Hath ki chatri mathe pe rakh
Aur aankhain sikore hue
Dhoop mein school jaate tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum
Diwali mein har saal
Lal ghagra, khule baal
Har deep aangan main jala kar
Harshakar aur muskara kar
Deep ki roshni mein
Chamkti thi teri aankhain
Aur aasman niharte the tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum
Phir wahi lal rang
Aur lal chhata tumhara
Har pehli baris pe wahi bahana
Saheli hai bimar milkar hai aana
Terha kar chhata
Bhigni ki karte kosis tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum
Har sardi mein sonn-sonn karna
Batt-batt pe chinkain bharna
Phir bhi bahar har saam ko
Pani har phool, har aam ko
Dete aur harshate tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum
May ka woh kathin chann
Teri dadi ka aakhri din
Lipat gayi tum roote-roote
Woh chal di thi hanste hanste
Har garmi ki chutti mein
Dadi ki woh puja ki thali le
Mandir jaati tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum
Woh pehli sari tumhari
Woh fairwell ki party humari
Woh aakhri gana tumhara
Woh suhana jamana humara
Woh pehli tasvir apni
Woh aakhri neer apni
Hath mila kar chal diye tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum
Bachpan se jama kiye har rang ke
Tere bhai ke liye hai bhangar
Tera liye teri gudiya ka singar
Pathar ke woh chote chote tukre
Aaj bag mein apne bharte
Aur bachpan yaad karte tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum
Ab chale ho chorkar, ye gali aur ye seher
Aankhain meri tarsaingi ab, chhin hua ye soch kar
Kabhi na kehne ki thi thani
Ab ye vada torte hoon
Ruk jao tum mere liye
Ab to main ye sochta hoon
In tasvir ko dekha karonga
Khud mein youn khoya karonga
Isse hai ek kaam achha
Gar lage ke pyar sacha
Ho jao apne tum
Ho jao apne tum
4 Comments:
yaar..bow to u and ur words...simply superb...
chauhan bhai..yeh kaise nahi jeeta ?
for me u sure are a winner..
but one question..
fiction hai ya reality
agar fiction hai...to aap to aur bhi mahaan haim
@desperado: Its totaly a fiction, nothing real about it. And thanks.
hey...i donno know u...jz got this link from a frend....
this poem of urz is simply beautiful.....superb....
keep it up....
Hi niks
nice love letter
keep coming up with things like this.....
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home