Saturday, February 18, 2006

Jhand Zindagi ------- My Suicide

(This poem was first used by me in a letter writting contest-the same one of my institute(Suicide letter round).)

jhand zindagi ke jhand hamsafar
wahi raat wahi saher
thami hui si ye dagar
wahi dhoop wahi dopaher
raakh sa drisya hai charon oor
wahi khaab wahi nazar
jhand zindagi ke jhand hamsafar
wahi raat wahi saher

raste par bar bar
rehte the bekarar
wahan tha bekhabar
ke manjil hogi beasar
ab itna sab jankar
hakikat se mukhtsar
hanste hain yah sochkar
ke kya mila?
jhand zindagi aur jhand humsafar

bahut hui teri rehgujar
mein chala tu aish kar
na manjil mere kaam ki
na sathi mere kaam ka
ab kya karenge hum jikar
choor chale ab sath tumhara
na rahegi ye jhand zindagi
na rahenge jhand humsafar

ae maut tu aa bhi jaa
pi raha hoon main zeher
chal chalain ab saath tere
tu bane ab humsafar
tu dhokha de sakti nahi
ke zindagi de, tera bus hi nahi
jo zindagi main ji raha tha
us zindagi mein koi ras hi nahi
ab na koi jhand zindagi
na hi koi jhand humsafar

Tuesday, February 07, 2006

A Love Letter

(This poem was first used by me in a letter writting contest of my institute(Love letter round).)

Galiyon se gujarte hue
Dekha hai tujhe jharonke se
Hath ki chatri mathe pe rakh
Aur aankhain sikore hue
Dhoop mein school jaate tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum



Diwali mein har saal
Lal ghagra, khule baal
Har deep aangan main jala kar
Harshakar aur muskara kar
Deep ki roshni mein
Chamkti thi teri aankhain
Aur aasman niharte the tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum



Phir wahi lal rang
Aur lal chhata tumhara
Har pehli baris pe wahi bahana
Saheli hai bimar milkar hai aana
Terha kar chhata
Bhigni ki karte kosis tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum



Har sardi mein sonn-sonn karna
Batt-batt pe chinkain bharna
Phir bhi bahar har saam ko
Pani har phool, har aam ko
Dete aur harshate tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum



May ka woh kathin chann
Teri dadi ka aakhri din
Lipat gayi tum roote-roote
Woh chal di thi hanste hanste
Har garmi ki chutti mein
Dadi ki woh puja ki thali le
Mandir jaati tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum



Woh pehli sari tumhari
Woh fairwell ki party humari
Woh aakhri gana tumhara
Woh suhana jamana humara
Woh pehli tasvir apni
Woh aakhri neer apni
Hath mila kar chal diye tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum




Bachpan se jama kiye har rang ke
Tere bhai ke liye hai bhangar
Tera liye teri gudiya ka singar
Pathar ke woh chote chote tukre
Aaj bag mein apne bharte
Aur bachpan yaad karte tum
Sochte hain hum
Yeh tasvir to apni hai
Kya gum hai gar
Na hue apne tum





Ab chale ho chorkar, ye gali aur ye seher
Aankhain meri tarsaingi ab, chhin hua ye soch kar
Kabhi na kehne ki thi thani
Ab ye vada torte hoon
Ruk jao tum mere liye
Ab to main ye sochta hoon
In tasvir ko dekha karonga
Khud mein youn khoya karonga
Isse hai ek kaam achha
Gar lage ke pyar sacha
Ho jao apne tum
Ho jao apne tum