Saturday, January 07, 2006

Madhusala

Padhne hi padhne mein haai
Jivan kitna bita dala
Gyan kitna paaya
Jaanta hai woh raddi wala
Yahan aakar hai paaya
Pehla madhughat, pehli haala
Hontoon pe hai sanskrit vaani
Hathoon mein kalpit pyala
Raat ko din ka aalingan deti
Hum sab ki yah madhusala


Roj subah naste par
Aata hai jab peenewala
Doodh samajh kar peeta hai jo
Zeher na ho, hai wo hala
Din ke khane ki bisat
Na poocho saaki
Khakar bimar, na khakar
Bhokha hai tu rehne wala
Hum sab ka hai pait khallati
Wajan ghatati, madhusala


Kaksha mein hai, na vidhyarthi
Na sikshak, na saaki bala
Institute mein hai na koi
Padhane, na padhne wala
Assignment aur exam
Ka hai ek raaj
Tepa maro ya karo yaad
Copy nahi koi check karne wala
Kar lo masti, kar lo aish
Ka path padhati madhusala.